aao taqdeer ko tadbeer bana kar dekhen
in andheron ko ujaalon se mila kar dekhen
aaj zalim ko bhi majboor bana kar dekhen
hashr se pehle hi ik hashr utha kar dekhen
in buton se to koi kaam na nikla apna
khair ab yoonhi sahi yaad-e-khuda kar dekhen
chaand-taaron mein jo aabaad hue jaate hain
vo kisi dil mein bhi ghar apna bana kar dekhen
kaun apna hai yahan kaun hai begaana ziya
dhajjiyaan ham bhi to daaman ki uda kar dekhen
आओ तक़दीर को तदबीर बना कर देखें
इन अँधेरों को उजालों से मिला कर देखें
आज ज़ालिम को भी मजबूर बना कर देखें
हश्र से पहले ही इक हश्र उठा कर देखें
इन बुतों से तो कोई काम न निकला अपना
ख़ैर अब यूँही सही याद-ए-ख़ुदा कर देखें
चाँद-तारों में जो आबाद हुए जाते हैं
वो किसी दिल में भी घर अपना बना कर देखें
कौन अपना है यहाँ कौन है बेगाना 'ज़िया'
धज्जियाँ हम भी तो दामन की उड़ा कर देखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Majboori Shayari Shayari