ehsaasaat ki basti mein jab har jaanib ik sannaata tha | एहसासात की बस्ती में जब हर जानिब इक सन्नाटा था

  - Balbir Rathi

ehsaasaat ki basti mein jab har jaanib ik sannaata tha
main aawazon ke jungle mein tab jaane kya dhundh raha tha

jin raahon se apne dil ka har qissa mansoob raha hai
ab to ye bhi yaad nahin hai un raahon ka qissa kya tha

aaj usi ke afsaano ka mehfil mehfil charcha hoga
kal chaurahe par tanhaa jo shakhs bahut khaamosh khada tha

yun jeevan ras kab deta hai phir se apne zakham kuredo
tum ne aakhir kya socha tha dard se kyun sanyaas liya tha

aisi koi baat nahin thi un raahon se laut bhi aate
lekin un raahon pe kisi ne kuchh din apna saath diya tha

is nagri mein lag-bhag sab ne ek tarah se choten khaaiin
lekin zakhamon ko sahlaane ka sab ka andaaza juda tha

tum un begaani raahon mein aakhir kis ko dhundh rahe ho
vo to kab ka laut chuka hai kal jo tumhaare saath chala tha

एहसासात की बस्ती में जब हर जानिब इक सन्नाटा था
मैं आवाज़ों के जंगल में तब जाने क्या ढूँड रहा था

जिन राहों से अपने दिल का हर क़िस्सा मंसूब रहा है
अब तो ये भी याद नहीं है उन राहों का क़िस्सा क्या था

आज उसी के अफ़्सानों का महफ़िल महफ़िल चर्चा होगा
कल चौराहे पर तन्हा जो शख़्स बहुत ख़ामोश खड़ा था

यूँ जीवन रस कब देता है फिर से अपने ज़ख़्म कुरेदो
तुम ने आख़िर क्या सोचा था दर्द से क्यूँ सन्यास लिया था

ऐसी कोई बात नहीं थी उन राहों से लौट भी आते
लेकिन उन राहों पे किसी ने कुछ दिन अपना साथ दिया था

इस नगरी में लग-भग सब ने एक तरह से चोटें खाईं
लेकिन ज़ख़्मों को सहलाने का सब का अंदाज़ा जुदा था

तुम उन बेगानी राहों में आख़िर किस को ढूँड रहे हो
वो तो कब का लौट चुका है कल जो तुम्हारे साथ चला था

  - Balbir Rathi

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balbir Rathi

As you were reading Shayari by Balbir Rathi

Similar Writers

our suggestion based on Balbir Rathi

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari