chaaha jin ko bhi zindagi ki tarah
vo mile mujh ko ajnabi ki tarah
mujh ko ilhaam ho gaya shaayad
baat karta hoon ik nabi ki tarah
jaane kitne sawaal ubhre hain
jab bhi socha hai falsafi ki tarah
saara manzar nikhrta jaata hai
kaun hansta hai aap hi ki tarah
khoob charcha hai go saveroon ka
raat phir bhi hai raat hi ki tarah
waqt ki baat hai ki ab tum bhi
ham se milte ho ajnabi ki tarah
ye darindon ka shehar hai is mein
kaun milta hai aadmi ki tarah
चाहा जिन को भी ज़िंदगी की तरह
वो मिले मुझ को अजनबी की तरह
मुझ को इल्हाम हो गया शायद
बात करता हूँ इक नबी की तरह
जाने कितने सवाल उभरे हैं
जब भी सोचा है फ़लसफ़ी की तरह
सारा मंज़र निखरता जाता है
कौन हँसता है आप ही की तरह
ख़ूब चर्चा है गो सवेरों का
रात फिर भी है रात ही की तरह
वक़्त की बात है कि अब तुम भी
हम से मिलते हो अजनबी की तरह
ये दरिंदों का शहर है इस में
कौन मिलता है आदमी की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balbir Rathi
our suggestion based on Balbir Rathi
As you were reading Neend Shayari Shayari