raah mein yun to marhale hain bahut
hum-safar phir bhi aa gaye hain bahut
ye alag baat ham na dhoondh sake
warna manzil ke raaste hain bahut
jin ko manzil na raaste ka pata
aise rahbar hamein mile hain bahut
aao suraj ko cheen kar laayein
ye andhere to badh gaye hain bahut
door ki manzilen hain nazaron mein
ab ke yaaron ke hausale hain bahut
ik junoon ka jo daur tha mujh par
us ke qisse hi ban gaye hain bahut
baat kya hai ki in dinon ham log
sochte kam hain bolte hain bahut
राह में यूँ तो मरहले हैं बहुत
हम-सफ़र फिर भी आ गए हैं बहुत
ये अलग बात हम न ढूँढ सके
वर्ना मंज़िल के रास्ते हैं बहुत
जिन को मंज़िल न रास्ते का पता
ऐसे रहबर हमें मिले हैं बहुत
आओ सूरज को छीन कर लाएँ
ये अँधेरे तो बढ़ गए हैं बहुत
दूर की मंज़िलें हैं नज़रों में
अब के यारों के हौसले हैं बहुत
इक जुनूँ का जो दौर था मुझ पर
उस के क़िस्से ही बन गए हैं बहुत
बात क्या है कि इन दिनों हम लोग
सोचते कम हैं बोलते हैं बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balbir Rathi
our suggestion based on Balbir Rathi
As you were reading Rahbar Shayari Shayari