raat kya dhal gai samundar mein
ghul gai teergi samundar mein
ek surkhi pahaad se ubhri
phir utarti gai samundar mein
ik safeena kahi pe dooba tha
kitni halchal hui samundar mein
khud samundar ki neend toot gai
raat kuchh yun dhali samundar mein
ghark hota gaya koi sehra
dhool udti gai samundar mein
koi toofaan zaroor uthna tha
apni kashti jo thi samundar mein
रात क्या ढल गई समुंदर में
घुल गई तीरगी समुंदर में
एक सुर्ख़ी पहाड़ से उभरी
फिर उतरती गई समुंदर में
इक सफ़ीना कहीं पे डूबा था
कितनी हलचल हुई समुंदर में
ख़ुद समुंदर की नींद टूट गई
रात कुछ यूँ ढली समुंदर में
ग़र्क़ होता गया कोई सहरा
धूल उड़ती गई समुंदर में
कोई तूफ़ाँ ज़रूर उठना था
अपनी कश्ती जो थी समुंदर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balbir Rathi
our suggestion based on Balbir Rathi
As you were reading Samundar Shayari Shayari