koi manzil bhi nahin hai koi rasta bhi nahin | कोई मंज़िल भी नहीं है कोई रस्ता भी नहीं - Balbir Rathi

koi manzil bhi nahin hai koi rasta bhi nahin
aur sab mahw-e-safar hain koi rukta bhi nahin

har taraf be-rang si gahri udaasi ka jamaav
ek rangeen khwaab jo nazaron se hatta bhi nahin

kis tarah thaame hue hain khud ko us basti ke log
koi mutwaazin nahin hai aur fisalta bhi nahin

ik musalsal si ye saee-e-raayegaan ye kaavishein
ek patthar sa ye manzar jo pighlata bhi nahin

be-sabab si tees dil mein mustaqil hoti hui
jazba-e-bebaak jo dil mein utarta bhi nahin

har taraf ye dhoop har-dam tez-tar hoti hui
mom ka ik shehar lekin jo pighlata bhi nahin

कोई मंज़िल भी नहीं है कोई रस्ता भी नहीं
और सब महव-ए-सफ़र हैं कोई रुकता भी नहीं

हर तरफ़ बे-रंग सी गहरी उदासी का जमाव
एक रंगीं ख़्वाब जो नज़रों से हटता भी नहीं

किस तरह थामे हुए हैं ख़ुद को उस बस्ती के लोग
कोई मुतवाज़िन नहीं है और फिसलता भी नहीं

इक मुसलसल सी ये सई-ए-राइगाँ ये काविशें
एक पत्थर सा ये मंज़र जो पिघलता भी नहीं

बे-सबब सी टीस दिल में मुस्तक़िल होती हुई
जज़्बा-ए-बेबाक जो दिल में उतरता भी नहीं

हर तरफ़ ये धूप हर-दम तेज़-तर होती हुई
मोम का इक शहर लेकिन जो पिघलता भी नहीं

- Balbir Rathi
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Balbir Rathi

As you were reading Shayari by Balbir Rathi

Similar Writers

our suggestion based on Balbir Rathi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari