junoon baghair kabhi aagahi nahin hoti
jale na sham'a to kuchh raushni nahin hoti
vo sajda sajda nahin jis mein hosh baaki ho
b-qaid-e-hosh jo ho bandagi nahin hoti
qaba-e-husn ki taabish agar ho aankhon mein
bashar ke dil mein kabhi teergi nahin hoti
qadam qadam pe jo khaaye fareb hasti ka
us aadmi ki koi zindagi nahin hoti
rumooz-e-zeest se waqif hua hai jo insaan
baka-e-zeest ki us ko khushi nahin hoti
bashar ke vaaste laazim hai jazba-e-ulfat
chaman mein gul na ho to zindagi nahin hoti
bashar ka azm nikhrta hai mushkilon hi mein
alam na jis mein ho vo zindagi nahin hoti
isee umeed pe hamdam gunaah karta hoon
khuda ke ghar mein karam ki kami nahin hoti
जुनूँ बग़ैर कभी आगही नहीं होती
जले न शम्अ तो कुछ रौशनी नहीं होती
वो सज्दा सज्दा नहीं जिस में होश बाक़ी हो
ब-क़ैद-ए-होश जो हो बंदगी नहीं होती
क़बा-ए-हुस्न की ताबिश अगर हो आँखों में
बशर के दिल में कभी तीरगी नहीं होती
क़दम क़दम पे जो खाए फ़रेब हस्ती का
उस आदमी की कोई ज़िंदगी नहीं होती
रुमूज़-ए-ज़ीस्त से वाक़िफ़ हुआ है जो इंसाँ
बका-ए-ज़ीस्त की उस को ख़ुशी नहीं होती
बशर के वास्ते लाज़िम है जज़्बा-ए-उल्फ़त
चमन में गुल न हो तो ज़िंदगी नहीं होती
बशर का अज़्म निखरता है मुश्किलों ही में
अलम न जिस में हो वो ज़िंदगी नहीं होती
इसी उमीद पे 'हमदम' गुनाह करता हूँ
ख़ुदा के घर में करम की कमी नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev singh Hamdam
our suggestion based on Baldev singh Hamdam
As you were reading Environment Shayari Shayari