ham bhi sunte jo tire husn ke charche hote
kaash us waqt tiri bazm mein baithe hote
dil ke vo daagh jo seene mein chhupa rakhe hain
ai maseeha vo kabhi tu ne bhi dekhe hote
ham samajh hi na sake teri nazar ka mafhoom
warna yun but se bane raah mein baithe hote
gham-e-dauraan ki kaddi dhoop ye tapta sehra
kaash do-gaam tiri zulf ke saaye hote
ham jala lete agar teri mohabbat ke charaagh
in andheron ki jagah dil mein ujaale hote
dil mein hota na kabhi zauq-e-tajassus ka hujoom
tujh se duniya mein agar aur bhi chehre hote
हम भी सुनते जो तिरे हुस्न के चर्चे होते
काश उस वक़्त तिरी बज़्म में बैठे होते
दिल के वो दाग़ जो सीने में छुपा रक्खे हैं
ऐ मसीहा वो कभी तू ने भी देखे होते
हम समझ ही न सके तेरी नज़र का मफ़्हूम
वर्ना यूँ बुत से बने राह में बैठे होते
ग़म-ए-दौराँ की कड़ी धूप ये तपता सहरा
काश दो-गाम तिरी ज़ुल्फ़ के साए होते
हम जला लेते अगर तेरी मोहब्बत के चराग़
इन अँधेरों की जगह दिल में उजाले होते
दिल में होता न कभी ज़ौक़-ए-तजस्सुस का हुजूम
तुझ से दुनिया में अगर और भी चेहरे होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev singh Hamdam
our suggestion based on Baldev singh Hamdam
As you were reading Zulf Shayari Shayari