jo baat rahe dil mein wahi baat badi hai | जो बात रहे दिल में वही बात बड़ी है

  - Baldev singh Hamdam

jo baat rahe dil mein wahi baat badi hai
ulfat ka taqaza bhi yahi kam-sukhani hai

saaqi tiri aankhon mein hain do-jaam chhalakte
may-khaane ki masti tiri aankhon mein bhari hai

fankaar ne jab apna qalam gham mein duboya
tab ja ke tire husn ki tasveer bani hai

jab chaaha tujhe dekh liya jaan-e-tamanna
gham-khaana-e-dil mein tiri tasveer judi hai

kyun subh nahin hoti meri shaam-e-alam ki
kyun zeest meri maut ke saanche mein dhali hai

jis waqt nazar aaya tiri zulf ka saaya
us waqt kaha dil ne yahan chaanv ghani hai

tauheen na kar is ki ise kah le may-e-naab
naaseh mere saaghar mein to sheeshe ki pari hai

ye waqt-e-jawaani hai ganwa is ko na hamdam
naadaan ibaarat ke liye umr padi hai

जो बात रहे दिल में वही बात बड़ी है
उल्फ़त का तक़ाज़ा भी यही कम-सुख़नी है

साक़ी तिरी आँखों में हैं दो-जाम छलकते
मय-ख़ाने की मस्ती तिरी आँखों में भरी है

फ़नकार ने जब अपना क़लम ग़म में डुबोया
तब जा के तिरे हुस्न की तस्वीर बनी है

जब चाहा तुझे देख लिया जान-ए-तमन्ना
ग़म-ख़ाना-ए-दिल में तिरी तस्वीर जुड़ी है

क्यों सुब्ह नहीं होती मिरी शाम-ए-अलम की
क्यों ज़ीस्त मिरी मौत के साँचे में ढली है

जिस वक़्त नज़र आया तिरी ज़ुल्फ़ का साया
उस वक़्त कहा दिल ने यहाँ छाँव घनी है

तौहीन न कर इस की इसे कह ले मय-ए-नाब
नासेह मिरे साग़र में तो शीशे की परी है

ये वक़्त-ए-जवानी है गँवा इस को न 'हमदम'
नादान इबारत के लिए उम्र पड़ी है

  - Baldev singh Hamdam

Beti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Baldev singh Hamdam

As you were reading Shayari by Baldev singh Hamdam

Similar Writers

our suggestion based on Baldev singh Hamdam

Similar Moods

As you were reading Beti Shayari Shayari