agar hain khaar-e-alam aadmi ke daaman mein
khushi ke phool bhi to hain usi ke daaman mein
hazaar aish sahi zindagi ke daaman mein
magar hai sabr kahaan aadmi ke daaman mein
agar sukoon hai to hai bandagi ke daaman mein
milegi manzil-e-irfaan usi ke daaman mein
kisi ki yaad mein aansu jo aankh se tapke
jawaaharaat hain ye aashiqi ke daaman mein
kamaal-e-zabt yahi hai wakaar-e-ishq yahi
chhupi ho aarzoo-e-dil khudi ke daaman mein
hadees-e-ishq-o-mohabbat ka tarjumaan jo ho
adab ke phool khile hain usi ke daaman mein
b-chashm-e-ghaur jo dekho to aur bhi kuchh hai
faqat gunaah nahin aadmi ke daaman mein
ajal hazaar buri cheez hai magar hamdam
panaah milti hai aakhir usi ke daaman mein
अगर हैं ख़ार-ए-अलम आदमी के दामन में
ख़ुशी के फूल भी तो हैं उसी के दामन में
हज़ार ऐश सही ज़िंदगी के दामन में
मगर है सब्र कहाँ आदमी के दामन में
अगर सुकूँ है तो है बंदगी के दामन में
मिलेगी मंज़िल-ए-इरफ़ाँ उसी के दामन में
किसी की याद में आँसू जो आँख से टपके
जवाहरात हैं ये आशिक़ी के दामन में
कमाल-ए-ज़ब्त यही है वक़ार-ए-इश्क़ यही
छुपी हो आरज़ू-ए-दिल ख़ुदी के दामन में
हदीस-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत का तर्जुमाँ जो हो
अदब के फूल खिले हैं उसी के दामन में
ब-चश्म-ए-ग़ौर जो देखो तो और भी कुछ है
फ़क़त गुनाह नहीं आदमी के दामन में
अजल हज़ार बुरी चीज़ है मगर हमदम
पनाह मिलती है आख़िर उसी के दामन में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Baldev singh Hamdam
our suggestion based on Baldev singh Hamdam
As you were reading Nature Shayari Shayari