raushni ho na saki shaam ke hangaam ke saath | रौशनी हो न सकी शाम के हंगाम के साथ

  - Baldev singh Hamdam

raushni ho na saki shaam ke hangaam ke saath
aur ham deep jalate rahe har shaam ke saath

door badhta hi gaya hasrat-e-naakaam ke saath
dil mein ik tees uthi aap ke hangaam ke saath

aap ne pursish-e-gham ka bhi takalluf na kiya
dil mein ham jalte rahe hasrat-e-naakaam ke saath

jaane kyun aaj mere ishq ki tashheer hui
har zabaan par hai mera naam tere naam ke saath

daur-e-may khatm hua sham'a ka dil baith gaya
raunaq-e-bazm gai saaqi-e-gulfaam ke saath

waqt ki baat hai kya waqt guzar jaayega
aur kuchh der chalo gardish-e-ayyaam ke saath

manzil-e-ishq mein kya kaam tha un ka hamdam
thak ke jo baith gaye raah mein aaraam ke saath

रौशनी हो न सकी शाम के हंगाम के साथ
और हम दीप जलाते रहे हर शाम के साथ

दूर बढ़ता ही गया हसरत-ए-नाकाम के साथ
दिल में इक टीस उठी आप के हंगाम के साथ

आप ने पुर्सिश-ए-ग़म का भी तकल्लुफ़ न किया
दिल में हम जलते रहे हसरत-ए-नाकाम के साथ

जाने क्यूँ आज मिरे इश्क़ की तश्हीर हुई
हर ज़बाँ पर है मिरा नाम तेरे नाम के साथ

दौर-ए-मय ख़त्म हुआ शम्अ का दिल बैठ गया
रौनक़-ए-बज़्म गई साक़ी-ए-गुलफ़ाम के साथ

वक़्त की बात है क्या वक़्त गुज़र जाएगा
और कुछ देर चलो गर्दिश-ए-अय्याम के साथ

मंज़िल-ए-इश्क़ में क्या काम था उन का 'हमदम'
थक के जो बैठ गए राह में आराम के साथ

  - Baldev singh Hamdam

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Baldev singh Hamdam

As you were reading Shayari by Baldev singh Hamdam

Similar Writers

our suggestion based on Baldev singh Hamdam

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari