aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha
kashti ke musaafir ne samundar nahin dekha
be-waqt agar jaaunga sab chaunk padenge
ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekha
jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi meel ka patthar nahin dekha
ye phool mujhe koi viraasat mein mile hain
tum ne mera kaanton bhara bistar nahin dekha
yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine
phoolon mein chhupaaya hua khanjar nahin dekha
mehboob ka ghar ho ki buzurgon ki zameenen
jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha
khat aisa likha hai ki nageene se jade hain
vo haath ki jis ne koi zewar nahin dekha
patthar mujhe kehta hai mera chaahne waala
main mom hoon us ne mujhe choo kar nahin dekha
आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
कश्ती के मुसाफ़िर ने समुंदर नहीं देखा
बे-वक़्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे
इक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा
जिस दिन से चला हूँ मिरी मंज़िल पे नज़र है
आँखों ने कभी मील का पत्थर नहीं देखा
ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं
तुम ने मिरा काँटों भरा बिस्तर नहीं देखा
यारों की मोहब्बत का यक़ीं कर लिया मैं ने
फूलों में छुपाया हुआ ख़ंजर नहीं देखा
महबूब का घर हो कि बुज़ुर्गों की ज़मीनें
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा
ख़त ऐसा लिखा है कि नगीने से जड़े हैं
वो हाथ कि जिस ने कोई ज़ेवर नहीं देखा
पत्थर मुझे कहता है मिरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उस ने मुझे छू कर नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Nazar Shayari Shayari