umeed haar chuke jazba-e-bagaavat bhi | उमीद हार चुके, जज़्बा-ए-बगावत भी - Shiv Sagar

umeed haar chuke jazba-e-bagaavat bhi
badal na paaygi hamko to ab muhabbat bhi

jahaan ne teer malaamat ke itne kheeche hain
ki ab to ba'is-e-zillat hui zahaanat bhi

hamaare dushmanon ke haal apne jaise hain
nibha na pa rahe unse ham ab adavat bhi

jahaan pe milte the ham dono vo thikaane ab
hamaare pyaar ki yaadein hain aur turbat bhi

hamein to gairat-e-deewaangi ne maara hai
azaab lagne lagi ab teri nazaakat bhi

उमीद हार चुके, जज़्बा-ए-बगावत भी
बदल न पायगी हमको तो अब मुहब्बत भी

जहाँ ने तीर मलामत के इतने खींचे हैं
कि अब तो बाइस-ए-ज़िल्लत हुई ज़हानत भी

हमारे दुश्मनों के हाल अपने जैसे हैं
निभा न पा रहे उनसे हम अब अदावत भी

जहाँ पे मिलते थे हम दोनों वो ठिकाने अब
हमारे प्यार की यादें हैं और तुर्बत भी

हमें तो गैरत-ए-दीवानगी ने मारा है
अज़ाब लगने लगी अब तेरी नज़ाकत भी

- Shiv Sagar
0 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shiv Sagar

As you were reading Shayari by Shiv Sagar

Similar Writers

our suggestion based on Shiv Sagar

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari