zeest mein jab bhi muhabbat ke fasaane aa gaye | ज़ीस्त में जब भी मुहब्बत के फ़साने आ गए - Shiv Sagar

zeest mein jab bhi muhabbat ke fasaane aa gaye
aankh mein hijraat ke lamhe purane aa gaye

talkh lehje mein hamaare saath tum baatein karo
warna lagta hai muhabbat ke zamaane aa gaye

zindagaani ne nawaaza hi nahin hamko magar
jo mila vo bhi muhabbat mein ganwaane aa gaye

rooth sakte bhi nahin tera diya sabkuchh to hai
daulato-maqbooliyat tere bahaane aa gaye

maashre par dhar diya ilzaam tarke-ishq ka
buzdili apni jahaan ke sar lagaane aa gaye

ज़ीस्त में जब भी मुहब्बत के फ़साने आ गए
आंख में हिज्रात के लम्हें पुराने आ गए

तल्ख़ लहजे में हमारे साथ तुम बातें करो
वर्ना लगता है मुहब्बत के ज़माने आ गए

ज़िंदगानी ने नवाज़ा ही नहीं हमको मगर
जो मिला वो भी मुहब्बत में गंवाने आ गए

रूठ सकते भी नहीं तेरा दिया सबकुछ तो है
दौलतो-मकबूलियत तेरे बहाने आ गए

माशरे पर धर दिया इल्ज़ाम तर्के-इश्क़ का
बुज़दिली अपनी जहां के सर लगाने आ गए

- Shiv Sagar
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shiv Sagar

As you were reading Shayari by Shiv Sagar

Similar Writers

our suggestion based on Shiv Sagar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari