hijrat ke baad aapse nafrat nahin hui | हिज्रत के बाद आपसे नफ़रत नहीं हुई - Shiv Sagar

hijrat ke baad aapse nafrat nahin hui
aur sang-e-zindagi se mohabbat nahin hui

ham to abhi jawaan hain par haal vo hai ki
aage ki fikr karne ki himmat nahin hui

ham hain kitaab mein dabey us phool ki tarah
barwaqt jiski tumko zaroorat nahin hui

ham to abhi se hijr ka dukhda manaa rahe
jab ki abhi milan ki inaayat nahin hui

tere bina na jaane kidhar jaati zindagi
achha hai zindagi se tu rukhsat nahin hui

masnad pe baith ke jo lataade hamein buzurg
apne samay mein un se bagaavat nahin hui

hijrat hui aur us pe ye guzra hai saaniha
kaaran bhi poochne ki ijaazat nahin hui

हिज्रत के बाद आपसे नफ़रत नहीं हुई
और संग-ए-ज़िन्दगी से मोहब्बत नहीं हुई

हम तो अभी जवान हैं पर हाल वो है की
आगे की फ़िक्र करने की हिम्मत नहीं हुई

हम हैं किताब में दबे उस फूल की तरह
बरवक़्त जिसकी तुमको ज़रूरत नहीं हुई

हम तो अभी से हिज्र का दुखड़ा मना रहे
जब की अभी मिलन की इनायत नहीं हुई

तेरे बिना न जाने किधर जाती ज़िंदगी
अच्छा है ज़िंदगी से तू रुख़सत नहीं हुई

मसनद पे बैठ के जो लताड़े हमें बुज़ुर्ग
अपने समय में उन से बगावत नहीं हुई

हिज्रत हुई और उस पे ये गुज़रा है सानिहा
कारण भी पूछने की इजाज़त नहीं हुई

- Shiv Sagar
0 Likes

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shiv Sagar

As you were reading Shayari by Shiv Sagar

Similar Writers

our suggestion based on Shiv Sagar

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari