fitna-e-rozgaar ki baatein
aisi hain jaise yaar ki baatein
hijr mein vasl-e-yaar ki baatein
hain khizaan mein bahaar ki baatein
laala-o-gul kai zikr se behtar
ek jaan-e-bahaar ki baatein
chhed ke saath nok jhok bhi hai
gul se hoti hain khaar ki baatein
sab samjhte hain main kahoon na kahoon
is dil-e-be-qaraar ki baatein
chhed deta hoon dil-lagi ke liye
vasl mein intizaar ki baatein
jo na tum roothe to kar lete
aur do chaar pyaar ki baatein
nang hain azm-e-mustaqil ke liye
dahar-na-paayedaar ki baatein
dil-nasheen hain basant mein kaafi
ye sharaab-o-khumaar ki baatein
फ़ित्ना-ए-रोज़गार की बातें
ऐसी हैं जैसे यार की बातें
हिज्र में वस्ल-ए-यार की बातें
हैं ख़िज़ाँ में बहार की बातें
लाला-ओ-गुल कै ज़िक्र से बेहतर
एक जान-ए-बहार की बातें
छेड़ के साथ नोक झोक भी है
गुल से होती हैं ख़ार की बातें
सब समझते हैं मैं कहूँ न कहूँ
इस दिल-ए-बे-क़रार की बातें
छेड़ देता हूँ दिल-लगी के लिए
वस्ल में इंतिज़ार की बातें
जो न तुम रूठते तो कर लेते
और दो चार प्यार की बातें
नंग हैं अज़्म-ए-मुस्तक़िल के लिए
दहर-ना-पाएदार की बातें
दिल-नशीं हैं बसंत में 'कैफ़ी'
ये शराब-ओ-ख़ुमार की बातें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
our suggestion based on Chandar Bhan Kaifi Dehelvi
As you were reading Kanta Shayari Shayari