pyaas ko dariya raha aur khaak ko sehra raha
is ke maani ye hue ke ye safar achha raha
ab main dooba tab main dooba bas isee ummeed mein
ik samundar paas mere raat-bhar baitha raha
main koi manzil nahin tha meel ka patthar tha bas
ba'ad mere bhi musalsal raasta chalta raha
ek aahat aa ke mere dar se waapas ho gai
aur main kaanon ko takie se daba sota raha
sun liya tha ek din ik saans hogi aakhiri
aur phir har saans pe us saans ka dhadka raha
ik zara hazrat ne sab kuchh hi badal kar rakh diya
jo kabhi ik shakhs tha ab vo faqat chehra raha
zindagi ab aur koi gham diya to dekhiyo
khaak kar doonga tujhe main ye mera wa'da raha
प्यास को दरिया रहा और ख़ाक को सहरा रहा
इस के मा'नी ये हुए के ये सफ़र अच्छा रहा
अब मैं डूबा तब मैं डूबा बस इसी उम्मीद में
इक समुंदर पास मेरे रात-भर बैठा रहा
मैं कोई मंज़िल नहीं था मील का पत्थर था बस
बा'द मेरे भी मुसलसल रास्ता चलता रहा
एक आहट आ के मेरे दर से वापस हो गई
और मैं कानों को तकिए से दबा सोता रहा
सुन लिया था एक दिन इक साँस होगी आख़िरी
और फिर हर साँस पे उस साँस का धड़का रहा
इक ज़रा हज़रत ने सब कुछ ही बदल कर रख दिया
जो कभी इक शख़्स था अब वो फ़क़त चेहरा रहा
ज़िंदगी अब और कोई ग़म दिया तो देखियो
ख़ाक कर दूँगा तुझे मैं ये मिरा वा'दा रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Barelvi
our suggestion based on Charagh Barelvi
As you were reading Travel Shayari Shayari