jab tamaashe ka na ho chhod ke aane ka malaal
kyun ho phir khel ke aadaab nibhaane ka malaal
aisi tanhaai ki lat hai ise bas kya kahiye
ghar ko hota hai mere laut ke aane ka malaal
kaisa mayus tha vo daur-e-khizaan bhi mat pooch
tha use shaakh se patton ko girane ka malaal
pehle to us ko bhulaane mein kai saal lage
ab kai saal se hai us ko bhulaane ka malaal
teri duniya ki taraf thi mere dil ki manzil
dil ko ab tak hai usi guzre zamaane ka malaal
जब तमाशे का न हो छोड़ के आने का मलाल
क्यों हो फिर खेल के आदाब निभाने का मलाल
ऐसी तन्हाई की लत है इसे बस क्या कहिए
घर को होता है मिरे लौट के आने का मलाल
कैसा मायूस था वो दौर-ए-ख़िज़ाँ भी मत पूछ
था उसे शाख़ से पत्तों को गिराने का मलाल
पहले तो उस को भुलाने में कई साल लगे
अब कई साल से है उस को भुलाने का मलाल
तेरी दुनिया की तरफ़ थी मिरे दिल की मंज़िल
दिल को अब तक है उसी गुज़रे ज़माने का मलाल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Barelvi
our suggestion based on Charagh Barelvi
As you were reading Wahshat Shayari Shayari