doobte waqt jo kuchh haath mein gauhar aaye
sab ke sab nakhuda ke haath mein ham dhar aaye
jang ladne gaye ham jo seher-e-duniya se
shaam ko ghar kai hisson mein bikhar kar aaye
us ki aankhon ko tamaashe ki tamannaa hai bahut
us se kehna ki kisi raat mere ghar aaye
haaye us naql-e-makaani ne kiya hai barbaad
jitne basne ko gaye utne ujad kar aaye
डूबते वक़्त जो कुछ हाथ में गौहर आए
सब के सब नाख़ुदा के हाथ में हम धर आए
जंग लड़ने गए हम जो सहर-ए-दुनिया से
शाम को घर कई हिस्सों में बिखर कर आए
उस की आँखों को तमाशे की तमन्ना है बहुत
उस से कहना कि किसी रात मिरे घर आए
हाए उस नक़्ल-ए-मकानी ने किया है बर्बाद
जितने बसने को गए उतने उजड़ कर आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Barelvi
our suggestion based on Charagh Barelvi
As you were reading Inquilab Shayari Shayari