ye maayusi kahi vajh-e-sukoon-e-dil na ban jaaye
gham-e-be-haasili hi ishq ka haasil na ban jaaye
madad ai jazb-e-dil raah-e-mohabbat sakht mushkil hai
khayal-e-doori-e-manzil kahi manzil na ban jaaye
nahin hai dil to kya pahluu mein halki si khalish to hai
ye halki si khalish hi rafta rafta dil na ban jaaye
hujoom-e-shauq aur raah-e-mohabbat ki bala-khezi
kahi pehla qadam hi aakhiri manzil na ban jaaye
ये मायूसी कहीं वज्ह-ए-सुकून-ए-दिल न बन जाए
ग़म-ए-बे-हासिली ही इश्क़ का हासिल न बन जाए
मदद ऐ जज़्ब-ए-दिल राह-ए-मोहब्बत सख़्त मुश्किल है
ख़याल-ए-दूरी-ए-मंज़िल कहीं मंज़िल न बन जाए
नहीं है दिल तो क्या पहलू में हल्की सी ख़लिश तो है
ये हल्की सी ख़लिश ही रफ़्ता रफ़्ता दिल न बन जाए
हुजूम-ए-शौक़ और राह-ए-मोहब्बत की बला-ख़ेज़ी
कहीं पहला क़दम ही आख़िरी मंज़िल न बन जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chiragh Hasan Hasrat
our suggestion based on Chiragh Hasan Hasrat
As you were reading Love Shayari Shayari