ya-rab gham-e-hijraan mein itna to kiya hota | या-रब ग़म-ए-हिज्राँ में इतना तो किया होता

  - Chiragh Hasan Hasrat

ya-rab gham-e-hijraan mein itna to kiya hota
jo haath jigar par hai vo dast-e-dua hota

ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota

naakaam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota

ummeed to bandh jaati taskin to ho jaati
wa'ada na wafa karte wa'ada to kiya hota

ghairoon se kaha tum ne ghairoon se suna tum ne
kuchh ham se kaha hota kuchh ham se suna hota

या-रब ग़म-ए-हिज्राँ में इतना तो किया होता
जो हाथ जिगर पर है वो दस्त-ए-दुआ होता

इक इश्क़ का ग़म आफ़त और उस पे ये दिल आफ़त
या ग़म न दिया होता या दिल न दिया होता

नाकाम-ए-तमन्ना दिल इस सोच में रहता है
यूँ होता तो क्या होता यूँ होता तो क्या होता

उम्मीद तो बंध जाती तस्कीन तो हो जाती
वअ'दा न वफ़ा करते वअ'दा तो किया होता

ग़ैरों से कहा तुम ने ग़ैरों से सुना तुम ने
कुछ हम से कहा होता कुछ हम से सुना होता

  - Chiragh Hasan Hasrat

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chiragh Hasan Hasrat

As you were reading Shayari by Chiragh Hasan Hasrat

Similar Writers

our suggestion based on Chiragh Hasan Hasrat

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari