chehre pe noor-e-subh siyah gesuon mein raat | चेहरे पे नूर-ए-सुब्ह सियह गेसुओं में रात - Daem Gawwasi

chehre pe noor-e-subh siyah gesuon mein raat
utri thi ik pari liye apne paron mein raat

din to shikam ki aag bujhaane mein jaaye hai
shukr-e-khuda ki kattee hai daanishwaron mein raat

thi wajh-e-khwaab kal yahi taskin-e-qalb bhi
ham ko to ab daraane lagi zalzalon mein raat

har saahab-e-kamaal hai fan ke urooj par
qibla-numaa rahi hai sabhi haadson mein raat

aankhon mein un ka husn tha sota main kis tarah
aayi thi garche ghar mere kitne dinon mein raat

aawaargi ki chaap vo aayi thi chhodne
sharminda ho ke laut gai dil-jalon mein raat

kuchh der haav-hoo ka tha manzar shabaab par
din ki thaki thi so hi gai mandiron mein raat

ham the ki ghark-e-jaam rahe may-kashon ke beech
ham ko talash karti rahi aabidon mein raat

jugnoo chamak rahe the ujaale mein ishq ke
daayem qayaam karti kahaan buzdilon mein raat

चेहरे पे नूर-ए-सुब्ह सियह गेसुओं में रात
उतरी थी इक परी लिए अपने परों में रात

दिन तो शिकम की आग बुझाने में जाए है
शुक्र-ए-ख़ुदा कि कटती है दानिशवरों में रात

थी वज्ह-ए-ख़्वाब कल यही तस्कीन-ए-क़ल्ब भी
हम को तो अब डराने लगी ज़लज़लों में रात

हर साहब-ए-कमाल है फ़न के उरूज पर
क़िबला-नुमा रही है सभी हादसों में रात

आँखों में उन का हुस्न था सोता मैं किस तरह
आई थी गरचे घर मिरे कितने दिनों में रात

आवारगी की छाप वो आई थी छोड़ने
शर्मिंदा हो के लौट गई दिल-जलों में रात

कुछ देर हाव-हू का था मंज़र शबाब पर
दिन की थकी थी सो ही गई मंदिरों में रात

हम थे कि ग़र्क़-ए-जाम रहे मय-कशों के बीच
हम को तलाश करती रही आबिदों में रात

जुगनू चमक रहे थे उजाले में इश्क़ के
'दाएम' क़याम करती कहाँ बुज़दिलों में रात

- Daem Gawwasi
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daem Gawwasi

As you were reading Shayari by Daem Gawwasi

Similar Writers

our suggestion based on Daem Gawwasi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari