hamaare gham juda the | हमारे ग़म जुदा थे

  - Daniyal Tareer

hamaare gham juda the
qarya-e-dil ki fazaa aab o hawa
mausam juda the
shaam tere jism ki deewaar se chimti hui thi
mujh ko kaali raat khaati thi
tujhe awaaz deti thi tire andar se uthati hook
mujh ko bhook meri rooh se baahar bulaati thi
tujhe paanv mein padti bediyo ka rog laahaq tha
mujhe aazaadi pe shak tha
tujhe apnon ne apne gher ka qaaidi banaya tha
mujhe be-rishtagi ne zaat ka bhedee banaya tha
musalsal likh par gardish mein rahna naachna
tera wateera tha
meri ik apni duniya thi
mera apna jazeera tha
koi dariya tha apne beech
ham dono kinaare the
alag do kahkashaaen theen
jahaan ke ham sitaare the

हमारे ग़म जुदा थे
क़र्या-ए-दिल की फ़ज़ा आब ओ हवा
मौसम जुदा थे
शाम तेरे जिस्म की दीवार से चिमटी हुई थी
मुझ को काली रात खाती थी
तुझे आवाज़ देती थी तिरे अंदर से उठती हूक
मुझ को भूक मेरी रूह से बाहर बुलाती थी
तुझे पाँव में पड़ती बेड़ियों का रोग लाहक़ था
मुझे आज़ादी पे शक था
तुझे अपनों ने अपने घेर का क़ैदी बनाया था
मुझे बे-रिश्तगी ने ज़ात का भेदी बनाया था
मुसलसल लीख पर गर्दिश में रहना नाचना
तेरा वतीरा था
मिरी इक अपनी दुनिया थी
मिरा अपना जज़ीरा था
कोई दरिया था अपने बीच
हम दोनों किनारे थे
अलग दो कहकशाएँ थीं
जहाँ के हम सितारे थे

  - Daniyal Tareer

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daniyal Tareer

As you were reading Shayari by Daniyal Tareer

Similar Writers

our suggestion based on Daniyal Tareer

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari