jab dil toota deewane ka | जब दिल टूटा दीवाने का - Devdas Bismil

jab dil toota deewane ka
aaghaaz hua afsaane ka

tab aur sham'a ki lau bhadki
jab jism jala parwaane ka

jab apna hi apna hi apna na raha
tab shikwa kya begaane ka

jab apne haathon zahar piya
kya jurm hai tab paimaane ka

jab har darwaaza band hua
bas vaa hai dar maykhaane ka

ab dard ke maare kaise jiein
aur rasta nahin mar jaane ka

jab dil ki jalan bardaasht na ho
kya saamaan dil bahaalne ka

ummeedein bismil toot gaeein
kya samjhaana deewane ka

जब दिल टूटा दीवाने का
आग़ाज़ हुआ अफ़्साने का

तब और शम्अ की लौ भड़की
जब जिस्म जला परवाने का

जब अपना ही अपना ही अपना न रहा
तब शिकवा क्या बेगाने का

जब अपने हाथों ज़हर पिया
क्या जुर्म है तब पैमाने का

जब हर दरवाज़ा बंद हुआ
बस वा है दर मयख़ाने का

अब दर्द के मारे कैसे जिएँ
और रस्ता नहीं मर जाने का

जब दिल की जलन बर्दाश्त न हो
क्या सामाँ दिल बहलाने का

उम्मीदें 'बिस्मिल' टूट गईं
क्या समझाना दीवाने का

- Devdas Bismil
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devdas Bismil

As you were reading Shayari by Devdas Bismil

Similar Writers

our suggestion based on Devdas Bismil

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari