darta hoon kahi ai dost mere ye pyaar mera badnaam na ho | डरता हूँ कहीं ऐ दोस्त मिरे ये प्यार मिरा बदनाम न हो - Devdas Bismil

darta hoon kahi ai dost mere ye pyaar mera badnaam na ho
jis tarah se toote laakhon dil apna bhi wahi anjaam na ho

ye zalim duniya hai saathi kab do dil milne deti hai
aisi hi talkh judaai ki ab apni koi shaam na ho

hain beech mein kitni deewarein mazhab ki samaajon rasmon ki
is qaid mein hum bhi dam todhen qismat mein yahi ina'am na ho

ulfat ke haath thamaaya hai duniya ne zahar ka paimaana
kitnon ne piya ye jaam-e-sam apne bhi liye ye jaam na ho

badnaam hai har pehchaan yahan hai jurm yahan har ik rishta
ik roz hamaare sar bismil aisa hi koi ilzaam na ho

डरता हूँ कहीं ऐ दोस्त मिरे ये प्यार मिरा बदनाम न हो
जिस तरह से टूटे लाखों दिल अपना भी वही अंजाम न हो

ये ज़ालिम दुनिया है साथी कब दो दिल मिलने देती है
ऐसी ही तल्ख़ जुदाई की अब अपनी कोई शाम न हो

हैं बीच में कितनी दीवारें मज़हब की समाजों रस्मों की
इस क़ैद में हम भी दम तोड़ें क़िस्मत में यही इनआ'म न हो

उल्फ़त के हाथ थमाया है दुनिया ने ज़हर का पैमाना
कितनों ने पिया ये जाम-ए-सम अपने भी लिए ये जाम न हो

बदनाम है हर पहचान यहाँ है जुर्म यहाँ हर इक रिश्ता
इक रोज़ हमारे सर 'बिस्मिल' ऐसा ही कोई इल्ज़ाम न हो

- Devdas Bismil
0 Likes

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devdas Bismil

As you were reading Shayari by Devdas Bismil

Similar Writers

our suggestion based on Devdas Bismil

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari