hadd-e-nazar tak veeraane hain aabaadi ka naam nahin | हद्द-ए-नज़र तक वीराने हैं आबादी का नाम नहीं - Devdas Bismil

hadd-e-nazar tak veeraane hain aabaadi ka naam nahin
kis raaste pe qadam badhaaun koi rasta aam nahin

jalta registaan hai har-soo tund hawaaein chalti hain
dhoo dhoo karti hai do-pahri subh nahin hai shaam nahin

saari umr guzaari main ne khoon ke aansu pee pee kar
khushiyon ke do ghoont pila de aisa koi jaam nahin

tanhaa hoon main is duniya mein koi nahin hai mere saath
kis ko ab awaaz lagaaun kuch bhi to anjaam nahin

dar dar ja kar dastak di hai par ik dar bhi vaa na hua
har-soo khaamoshi hai bismil kahi se kuch paighaam nahin

हद्द-ए-नज़र तक वीराने हैं आबादी का नाम नहीं
किस रस्ते पे क़दम बढ़ाऊँ कोई रस्ता आम नहीं

जलता रेगिस्तान है हर-सू तुंद हवाएँ चलती हैं
धू धू करती है दो-पहरी सुब्ह नहीं है शाम नहीं

सारी उम्र गुज़ारी मैं ने ख़ून के आँसू पी पी कर
ख़ुशियों के दो घूँट पिला दे ऐसा कोई जाम नहीं

तन्हा हूँ मैं इस दुनिया में कोई नहीं है मेरे साथ
किस को अब आवाज़ लगाऊँ कुछ भी तो अंजाम नहीं

दर दर जा कर दस्तक दी है पर इक दर भी वा न हुआ
हर-सू ख़ामोशी है 'बिस्मिल' कहीं से कुछ पैग़ाम नहीं

- Devdas Bismil
0 Likes

Khamoshi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devdas Bismil

As you were reading Shayari by Devdas Bismil

Similar Writers

our suggestion based on Devdas Bismil

Similar Moods

As you were reading Khamoshi Shayari Shayari