shor-e-atash jo phoolon ki har anjuman mein hai
kaifiyyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein hai
faiz-e-naseem se hain khile gul ravish ravish
firdaus ki bahaar hamaare chaman mein hai
vo kaifiyat kahaan hai may-e-nau-kasheed mein
jo lutf jo maza ki sharaab-e-kuhn mein hai
shahnaaz-e-gul bata de zara ahl-e-shauq ko
khushboo ye kis badan ki tire pairhan mein hai
saahir ke faiz-o-lutf se kah leta hai ghazal
ab raaz ka shumaar bhi ahl-e-sukhan mein hai
शोर-ए-अतश जो फूलों की हर अंजुमन में है
कैफ़िय्यत-ए-बहार की शिद्दत चमन में है
फ़ैज़-ए-नसीम से हैं खिले गुल रविश रविश
फ़िरदौस की बहार हमारे चमन में है
वो कैफ़ियत कहाँ है मय-ए-नौ-कशीद में
जो लुत्फ़ जो मज़ा कि शराब-ए-कुहन में है
शहनाज़-ए-गुल बता दे ज़रा अहल-ए-शौक़ को
ख़ुश्बू ये किस बदन की तिरे पैरहन में है
'साहिर' के फ़ैज़-ओ-लुतफ़ से कह लेता है ग़ज़ल
अब 'राज़' का शुमार भी अहल-ए-सुख़न में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dhanpat Rai Thapar Raz
our suggestion based on Dhanpat Rai Thapar Raz
As you were reading Naqab Shayari Shayari