aasmaan khol diya pairo'n mein raahen rakh deen
phir nasheeman pe usi shakhs ne shaakhen rakh deen
jab koi fikr jabeen par hui raksaan main ne
khwaab aankhon mein rakhe aankhon pe palkein rakh deen
darmiyaan khaamoshi pehle to na aayi thi magar
baaton baaton mein hi us ne kai baatein rakh deen
us ne jab tod diye saare ta'alluq mujh se
kheench kar seene se phir main ne bhi saansen rakh deen
meri tanhaai se tang aa ke mere hi ghar ne
aaj thak-haar ke dahleez pe aankhen rakh deen
आसमाँ खोल दिया पैरों में राहें रख दीं
फिर नशेमन पे उसी शख़्स ने शाख़ें रख दीं
जब कोई फ़िक्र जबीं पर हुई रक़्साँ मैं ने
ख़्वाब आँखों में रखे आँखों पे पलकें रख दीं
दरमियाँ ख़ामुशी पहले तो न आई थी मगर
बातों बातों में ही उस ने कई बातें रख दीं
उस ने जब तोड़ दिए सारे तअ'ल्लुक़ मुझ से
खींच कर सीने से फिर मैं ने भी साँसें रख दीं
मेरी तन्हाई से तंग आ के मिरे ही घर ने
आज थक-हार के दहलीज़ पे आँखें रख दीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dheerendra Singh Faiyaz
our suggestion based on Dheerendra Singh Faiyaz
As you were reading Bahana Shayari Shayari