nazar ki baat pahunchegi nazar tak | नज़र की बात पहुँचेगी नज़र तक - Dhruv Gupt

nazar ki baat pahunchegi nazar tak
udegi dhool phir deewar-o-dar tak

koi manzil tasavvur hi hai shaayad
safar koi ho pahunchega safar tak

abhi ik boond chupke se giri hai
koi aaya tha shaayad chashm-e-tar tak

mare jab hum koi charcha na nikla
mere qaateel hi pahunchen the khabar tak

vo waapas phir zameen par lautti hain
jo raahen le ke jaati hain shikhar tak

bhale lambi ho gham ki raat kitni
koi bhi raat rahti hai sehar tak

नज़र की बात पहुँचेगी नज़र तक
उड़ेगी धूल फिर दीवार-ओ-दर तक

कोई मंज़िल तसव्वुर ही है शायद
सफ़र कोई हो पहुँचेगा सफ़र तक

अभी इक बूँद चुपके से गिरी है
कोई आया था शायद चश्म-ए-तर तक

मरे जब हम कोई चर्चा न निकला
मिरे क़ातिल ही पहुँचे थे ख़बर तक

वो वापस फिर ज़मीं पर लौटती हैं
जो राहें ले के जाती हैं शिखर तक

भले लम्बी हो ग़म की रात कितनी
कोई भी रात रहती है सहर तक

- Dhruv Gupt
0 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dhruv Gupt

As you were reading Shayari by Dhruv Gupt

Similar Writers

our suggestion based on Dhruv Gupt

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari