hain hawaon mein talkhiyaan shaayad | हैं हवाओं में तल्ख़ियाँ शायद - Dhruv Gupt

hain hawaon mein talkhiyaan shaayad
aandhiyon mein ho kuch bayaan shaayad

lafz kho aaye hain sabhi maani
baat kah den khamoshiyaan shaayad

kitni gahri udaasiyaan hain abhi
neend kuch de tasalliyaan shaayad

ghar mein jismoon ki aanch baaki hai
aaj ujda hai aashiyaan shaayad

us jagah har koi akela hai
jis jagah hain bulandiyaan shaayad

bacche uljhe hain sab kitaabon mein
muntazir hongi titliyan shaayad

rab hai oopar zameen par duniya
beech mein hai bahut dhuaan shaayad

khat likhenge unhen saleeke se
aaj kaampengi ungaliyaan shaayad

हैं हवाओं में तल्ख़ियाँ शायद
आँधियों में हो कुछ बयाँ शायद

लफ़्ज़ खो आए हैं सभी मा'नी
बात कह दें ख़मोशियाँ शायद

कितनी गहरी उदासियाँ हैं अभी
नींद कुछ दे तसल्लियाँ शायद

घर में जिस्मों की आँच बाक़ी है
आज उजड़ा है आशियाँ शायद

उस जगह हर कोई अकेला है
जिस जगह हैं बुलंदियाँ शायद

बच्चे उलझे हैं सब किताबों में
मुंतज़िर होंगी तितलियाँ शायद

रब है ऊपर ज़मीन पर दुनिया
बीच में है बहुत धुआँ शायद

ख़त लिखेंगे उन्हें सलीक़े से
आज काँपेंगी उँगलियाँ शायद

- Dhruv Gupt
0 Likes

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dhruv Gupt

As you were reading Shayari by Dhruv Gupt

Similar Writers

our suggestion based on Dhruv Gupt

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari