may-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-faam mein hai | मय-ए-कौसर का असर चश्म-ए-सियह-फ़ाम में है - Dil Shahjahanpuri

may-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-faam mein hai
saaqi-e-mast ajab kaif tire jaam mein hai

dekhiye faisla-e-yaas-o-tamanna kya ho
subh-e-mahshar ki jhalak teergi-e-shaam mein hai

nigaah-e-mast ka phir zohd-shikan door chale
phir dhale badaa-e-sarjosh jo is jaam mein hai

chha gaye sheva-e-bedaad pe dilkash nagme
main qafas mein hoon ki sayyaad mere daam mein hai

mutmain khud hi nahin phir asr-andaaz ho kya
pand-e-waiz abhi andesha-e-anjaam mein hai

aarzoo lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtala zindagi-e-dil inheen awhaam mein hai

मय-ए-कौसर का असर चश्म-ए-सियह-फ़ाम में है
साक़ी-ए-मस्त अजब कैफ़ तिरे जाम में है

देखिए फ़ैसला-ए-यास-ओ-तमन्ना क्या हो
सुब्ह-ए-महशर की झलक तीरगी-ए-शाम में है

निगह-ए-मस्त का फिर ज़ोहद-शिकन दूर चले
फिर ढले बादा-ए-सरजोश जो इस जाम में है

छा गए शेवा-ए-बेदाद पे दिलकश नग़्मे
मैं क़फ़स में हूँ कि सय्याद मिरे दाम में है

मुतमइन ख़ुद ही नहीं फिर असर-अंदाज़ हो क्या
पंद-ए-वाइज़ अभी अंदेशा-ए-अंजाम में है

आरज़ू लुत्फ़ तलब इश्क़ सरासर नाकाम
मुब्तला ज़िंदगी-ए-दिल इन्हीं औहाम में है

- Dil Shahjahanpuri
0 Likes

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Dil Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari