ab koi gham-gusaar hamaara nahin raha | अब कोई ग़म-गुसार हमारा नहीं रहा - Dil Shahjahanpuri

ab koi gham-gusaar hamaara nahin raha
duniya ko e'tibaar hamaara nahin raha

is fart-e-gham mein khoon ke aansu tapak pade
ab dil bhi raazdaar hamaara nahin raha

us ki huzoor peer-e-mugaan mein hai manzilt
jo ahad-e-paayedaar hamaara nahin raha

har daagh ubhar ke zakham bana zakham rashk-e-gul
dil maail-e-bahaar hamaara nahin raha

ye hai maal-e-sohbat-e-zaahid janaab-e-dil
rindon mein ab shumaar hamaara nahin raha

अब कोई ग़म-गुसार हमारा नहीं रहा
दुनिया को ए'तिबार हमारा नहीं रहा

इस फ़र्त-ए-ग़म में ख़ून के आँसू टपक पड़े
अब दिल भी राज़दार हमारा नहीं रहा

उस की हुज़ूर पीर-ए-मुग़ाँ में है मंज़िलत
जो अहद-ए-पाएदार हमारा नहीं रहा

हर दाग़ उभर के ज़ख़्म बना ज़ख़्म रश्क-ए-गुल
दिल माइल-ए-बहार हमारा नहीं रहा

ये है मआल-ए-सोहबत-ए-ज़ाहिद जनाब-ए-दिल
रिंदों में अब शुमार हमारा नहीं रहा

- Dil Shahjahanpuri
0 Likes

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Dil Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari