be-sood hai ye josh-e-giryaa ai sham'a sehar ho jaane tak | बे-सूद है ये जोश-ए-गिर्या ऐ शम्अ' सहर हो जाने तक

  - Dil Shahjahanpuri

be-sood hai ye josh-e-giryaa ai sham'a sehar ho jaane tak
chheenta tire ashk-e-paiham ka pahuncha na kabhi parwaane tak

ai ahl-e-nazar meri hasti sab kuchh thi kabhi ab kuchh bhi nahin
zinda hoon magar mehmaan-e-baqa ik saans ke aane jaane tak

haan ghaur se ik khuddaar nazar apne hi garebaan par naaseh
kya jaane rahega kis had mein deewaana tire samjhaane tak

ai khaak-e-pareshaan ke zarro aaghosh mein tum mujh ko le lo
tamkeen-o-khudi ko thukraata pahuncha hoon main veeraane tak

aashufta nizaam-e-hasti hai kuchh aur na barham ho jaaye
mashshaata-e-fitrat ke haathon gesu-e-butaan suljhaane tak

wa'da hai magar kis aalam mein ik shokh-e-taghaful fitrat ka
jab laila-e-shab ke bal khaate gesu utar aayein shaane tak

बे-सूद है ये जोश-ए-गिर्या ऐ शम्अ' सहर हो जाने तक
छींटा तिरे अश्क-ए-पैहम का पहुँचा न कभी परवाने तक

ऐ अहल-ए-नज़र मेरी हस्ती सब कुछ थी कभी अब कुछ भी नहीं
ज़िंदा हूँ मगर मेहमान-ए-बक़ा इक साँस के आने जाने तक

हाँ ग़ौर से इक ख़ुद्दार नज़र अपने ही गरेबाँ पर नासेह
क्या जाने रहेगा किस हद में दीवाना तिरे समझाने तक

ऐ ख़ाक-ए-परेशाँ के ज़र्रो आग़ोश में तुम मुझ को ले लो
तमकीन-ओ-ख़ुदी को ठुकराता पहुँचा हूँ मैं वीराने तक

आशुफ़्ता निज़ाम-ए-हस्ती है कुछ और न बरहम हो जाए
मश्शाता-ए-फ़ित्रत के हाथों गेसू-ए-बुताँ सुलझाने तक

वा'दा है मगर किस आलम में इक शोख़-ए-तग़ाफ़ुल फ़ितरत का
जब लैला-ए-शब के बल खाते गेसू उतर आएँ शाने तक

  - Dil Shahjahanpuri

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Dil Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari