husn ne maan liya qaabil-e-taazeer mujhe | हुस्न ने मान लिया क़ाबिल-ए-ताज़ीर मुझे - Dil Shahjahanpuri

husn ne maan liya qaabil-e-taazeer mujhe
nazar aayi hai mohabbat ki ye taqseer mujhe

kyun na ho badaa-e-sar-josh ki tauqeer mujhe
mil gai peer-e-kharaabaat se tahreer mujhe

jalwa-e-husn ke mafhoom pe jab ghaur kiya
ek dhundli si nazar aayi hai tasveer mujhe

ab meri vahshat-e-ruswa ka ajab aalam hai
kar diya aap ne waabasta-e-zanjeer mujhe

be-takalluf rukh-e-zeba se uthaaye vo naqaab
husn khud paayega ek paikar-e-tasveer mujhe

zindagi ik naye aalam mein nazar aati hai
le chali aaj kahaan gardish-e-taqdeer mujhe

khich gai dil-kashi-e-husn mari nazaron mein
jee bahlne ko mili aap ki tasveer mujhe

zulf-e-shab-goon rukh-e-anwar ki sataish ko siva
koi mazmoon na mila qaabil-e-tahreer mujhe

husn-e-dilkash ke talavvun pe nazar jab pahunchee
na raha phir gila-e-gardish-e-taqdeer mujhe

हुस्न ने मान लिया क़ाबिल-ए-ताज़ीर मुझे
नज़र आई है मोहब्बत की ये तक़्सीर मुझे

क्यूँ न हो बादा-ए-सर-जोश की तौक़ीर मुझे
मिल गई पीर-ए-ख़राबात से तहरीर मुझे

जल्वा-ए-हुस्न के मफ़्हूम पे जब ग़ौर किया
एक धुँदली सी नज़र आई है तस्वीर मुझे

अब मिरी वहशत-ए-रुस्वा का अजब आलम है
कर दिया आप ने वाबस्ता-ए-ज़ंजीर मुझे

बे-तकल्लुफ़ रुख़-ए-ज़ेबा से उठाए वो नक़ाब
हुस्न ख़ुद पाएगा एक पैकर-ए-तस्वीर मुझे

ज़िंदगी इक नए आलम में नज़र आती है
ले चली आज कहाँ गर्दिश-ए-तक़दीर मुझे

खिच गई दिल-कशी-ए-हुस्न मरी नज़रों में
जी बहलने को मिली आप की तस्वीर मुझे

ज़ुल्फ़-ए-शब-गूँ रुख़-ए-अनवर की सताइश को सिवा
कोई मज़मून न मिला क़ाबिल-ए-तहरीर मुझे

हुस्न-ए-दिलकश के तलव्वुन पे नज़र जब पहुँची
न रहा फिर गिला-ए-गर्दिश-ए-तक़दीर मुझे

- Dil Shahjahanpuri
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Dil Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari