jahaan tak ishq ki taufeeq hai rangeen banaate hain | जहाँ तक इश्क़ की तौफ़ीक़ है रंगीं बनाते हैं

  - Dil Shahjahanpuri

jahaan tak ishq ki taufeeq hai rangeen banaate hain
vo sunte hain ham un ko sar-guzisht-e-dil sunaate hain

udhar haq-ul-yaqeen hai ab vo aate ab vo aate hain
udhar anjum meri is zehaniyat par muskuraate hain

shab-e-gham aur mahjoori ye aalam aur majboori
tapak padte hain aansu jab vo ham ko yaad aate hain

wahin se dars-e-husn-o-ishq ka aaghaaz hota hai
jahaan se waqia'at-e-zindagi ham bhool jaate hain

hamein kuchh ishq ke mafhoom par hai tabsira karna
ik aah-e-sard ko unwan-e-sharh-e-gham banaate hain

baha kar ashk-e-khoon kheenchi theen jo aaina-e-dil mein
ham un mauhoom tasveeron ko ab rangeen banaate hain

shabaab-e-zindagi jalvo ka ik ma'soom nazzara
hamein ai dil vo afsaane abhi tak yaad aate hain

जहाँ तक इश्क़ की तौफ़ीक़ है रंगीं बनाते हैं
वो सुनते हैं हम उन को सर-गुज़िश्त-ए-दिल सुनाते हैं

उधर हक़-उल-यक़ीं है अब वो आते अब वो आते हैं
उधर अंजुम मिरी इस ज़ेहनियत पर मुस्कुराते हैं

शब-ए-ग़म और महजूरी ये आलम और मजबूरी
टपक पड़ते हैं आँसू जब वो हम को याद आते हैं

वहीं से दर्स-ए-हुस्न-ओ-इश्क़ का आग़ाज़ होता है
जहाँ से वाक़िआ'त-ए-ज़िंदगी हम भूल जाते हैं

हमें कुछ इश्क़ के मफ़्हूम पर है तब्सिरा करना
इक आह-ए-सर्द को उनवान-ए-शरह-ए-ग़म बनाते हैं

बहा कर अश्क-ए-ख़ूँ खींची थीं जो आईना-ए-दिल में
हम उन मौहूम तस्वीरों को अब रंगीं बनाते हैं

शबाब-ए-ज़िंदगी जल्वों का इक मा'सूम नज़्ज़ारा
हमें ऐ दिल वो अफ़्साने अभी तक याद आते हैं

  - Dil Shahjahanpuri

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Shahjahanpuri

As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Dil Shahjahanpuri

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari