maayus-e-azl hoon ye maana naakaam-e-tamanna rahna hai
jaate ho kahaan rukh fer ke tum mujh ko to abhi kuchh kehna hai
kheenchenge wahan phir sard aahen aankhon se lahu phir bahna hai
afsaana kaha tha jo ham ne dohraa ke wahin tak kehna hai
dushwaar bahut ye manzil thi mar mit ke tah-e-turbat pahunchen
har qaid se ham azaad hue duniya se alag ab rahna hai
rakhta hai qadam is koocha mein zarre hain qayaamat-zaa jis ke
anjaam-e-wafa hai nazaron mein aaghaaz hi se dukh sahna hai
ai paik-e-ajl tere haathon azaad-e-ta'alluq rooh hui
ta-hashr badal saka hi nahin ham ne vo libaas ab pahna hai
ai giryaa-e-khoon taaseer dikha ai josh-e-fughaan kuchh himmat kar
rangeen ho kisi ka daaman bhi ashkon ka yahan tak bahna hai
apna hi sawaal ai dil hai jawaab is bazm mein aakhir kya kahiye
kehna hai wahin jo sunna hai sunna hai wahin jo kehna hai
मायूस-ए-अज़ल हूँ ये माना नाकाम-ए-तमन्ना रहना है
जाते हो कहाँ रुख़ फेर के तुम मुझ को तो अभी कुछ कहना है
खींचेंगे वहाँ फिर सर्द आहें आँखों से लहू फिर बहना है
अफ़्साना कहा था जो हम ने दोहरा के वहीं तक कहना है
दुश्वार बहुत ये मंज़िल थी मर मिट के तह-ए-तुर्बत पहुँचे
हर क़ैद से हम आज़ाद हुए दुनिया से अलग अब रहना है
रखता है क़दम इस कूचा में ज़र्रे हैं क़यामत-ज़ा जिस के
अंजाम-ए-वफ़ा है नज़रों में आग़ाज़ ही से दुख सहना है
ऐ पैक-ए-अजल तेरे हाथों आज़ाद-ए-तअ'ल्लुक़ रूह हुई
ता-हश्र बदल सकता ही नहीं हम ने वो लिबास अब पहना है
ऐ गिर्या-ए-ख़ूँ तासीर दिखा ऐ जोश-ए-फ़ुग़ाँ कुछ हिम्मत कर
रंगीं हो किसी का दामन भी अश्कों का यहाँ तक बहना है
अपना ही सवाल ऐ 'दिल' है जवाब इस बज़्म में आख़िर क्या कहिए
कहना है वही जो सुनना है सुनना है वही जो कहना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri
our suggestion based on Dil Shahjahanpuri
As you were reading Gham Shayari Shayari