tamkeen hai aur husn-e-garebaan hai aur ham
khuddaariyon ka khwaab-e-pareshaan hai aur ham
saahil se door ghark hui kashti-e-ummeed
maujon ko chhedta hua toofaan hai aur ham
kis ne hareem-e-naaz ka parda ult diya
nazaron mein ek shola-e-larzaan hai aur ham
teri tajalliyaan hain jahaan tak nazar gai
asraar-e-kaaynaat ka irfaan hai aur ham
baaleen se kaun mahv-e-tabassum guzar gaya
ab har nazar bahaar-e-bad-aman hai aur ham
waaraftagi-e-ishq ne pahuncha diya kahaan
khaamosh ik fazaa-e-bayaabaan hai aur ham
ai dil ye sun rahe hain ki duniya badal gai
ab tak unhin hadon mein biyaabaan hai aur ham
तमकीं है और हुस्न-ए-गरेबाँ है और हम
ख़ुद्दारियों का ख़्वाब-ए-परेशाँ है और हम
साहिल से दूर ग़र्क़ हुई कश्ती-ए-उम्मीद
मौजों को छेड़ता हुआ तूफ़ाँ है और हम
किस ने हरीम-ए-नाज़ का पर्दा उलट दिया
नज़रों में एक शो'ला-ए-लर्ज़ां है और हम
तेरी तजल्लियाँ हैं जहाँ तक नज़र गई
असरार-ए-काएनात का इरफ़ाँ है और हम
बालीं से कौन महव-ए-तबस्सुम गुज़र गया
अब हर नज़र बहार-ए-बद-अमाँ है और हम
वारफ़्तगी-ए-इश्क़ ने पहुँचा दिया कहाँ
ख़ामोश इक फ़ज़ा-ए-बयाबाँ है और हम
ऐ 'दिल' ये सुन रहे हैं कि दुनिया बदल गई
अब तक उन्हीं हदों में बयाबाँ है और हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Shahjahanpuri
our suggestion based on Dil Shahjahanpuri
As you were reading Aankhein Shayari Shayari