khayal se to ibtida hui hai kaayenaat ki | ख़याल से तो इब्तिदा हुई है काएनात की - Dilnawaz Siddiqi

khayal se to ibtida hui hai kaayenaat ki
amal ki dastaras mein hain hadein takhayyulaat ki

faqat amal ki ek baat kar hazaar baat ki
rukh-e-hayaat se utha rida tawqqu'at ki

yahi to ik daleel hai mareez-e-nafsiyaat ki
adoo ye zimmedaariyaan hain apni waajibaat ki

saza hai kis gunaah ki ki aise paasbaan mile
jo dushmanon se maangte hain bheek iltifaat ki

hazaar raaste hain yun to gumrahi ke vaaste
magar siraat-e-mustaqeem ek hai najaat ki

ख़याल से तो इब्तिदा हुई है काएनात की
अमल की दस्तरस में हैं हदें तख़य्युलात की

फ़क़त अमल की एक बात कर हज़ार बात की
रुख़-ए-हयात से उठा रिदा तवक़्क़ुआ'त की

यही तो इक दलील है मरीज़-ए-नफ़सियात की
अदू ये ज़िम्मेदारियाँ हैं अपनी वाजिबात की

सज़ा है किस गुनाह की कि ऐसे पासबाँ मिले
जो दुश्मनों से माँगते हैं भीक इल्तिफ़ात की

हज़ार रास्ते हैं यूँ तो गुमरही के वास्ते
मगर सिरात-ए-मुस्तक़ीम एक है नजात की

- Dilnawaz Siddiqi
0 Likes

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari