chhupne ke liye to meri aankhen hi bahut hain | छुपने के लिए तो मेरी आँखें ही बहुत हैं - Dilnawaz Siddiqi

chhupne ke liye to meri aankhen hi bahut hain
manzoor-e-nazar sab ke hon chahein bhi bahut hain

sirf apne liye jeene ko jeena nahin kahte
is raah mein rishton ki saraayein bhi bahut hain

toote hue va'don ki surangon mein gharo ko
jalte hue zakhamon ki shuaaein bhi bahut hain

har shay pe lagi hai yahan neelaam ki boli
barbaadi-e-akhlaaq ki raahen bhi bahut hain

hain zulm ke patthar mere raaste mein andhere
takraayein jo aapas mein to kirnen bhi bahut hain

jhooton ko daraate hain unhin ke dar-o-deewar
haq par hain agar hum to panaahen bhi bahut hain

bachpan mein machal padna bhi ik haq tha hamaara
ab aise machalne ki sazaayein bhi bahut hain

azaadi-e-bazaar mein raunaq hai gazab ki
lekin yahan maasumon ki cheekhen bhi bahut hain

aise bhi shanaasaon mein hain chor ki jin ke
rozay bhi bahut aur namaazen bhi bahut hain

छुपने के लिए तो मेरी आँखें ही बहुत हैं
मंज़ूर-ए-नज़र सब के हों चाहें भी बहुत हैं

सिर्फ़ अपने लिए जीने को जीना नहीं कहते
इस राह में रिश्तों की सराएँ भी बहुत हैं

टूटे हुए वा'दों की सुरंगों में घरों को
जलते हुए ज़ख़्मों की शुआएँ भी बहुत हैं

हर शय पे लगी है यहाँ नीलाम की बोली
बर्बादी-ए-अख़्लाक़ की राहें भी बहुत हैं

हैं ज़ुल्म के पत्थर मिरे रस्ते में अंधेरे
टकराएँ जो आपस में तो किरनें भी बहुत हैं

झूटों को डराते हैं उन्हीं के दर-ओ-दीवार
हक़ पर हैं अगर हम तो पनाहें भी बहुत हैं

बचपन में मचल पड़ना भी इक हक़ था हमारा
अब ऐसे मचलने की सज़ाएँ भी बहुत हैं

आज़ादी-ए-बाज़ार में रौनक़ है ग़ज़ब की
लेकिन यहाँ मासूमों की चीख़ें भी बहुत हैं

ऐसे भी शनासाओं में हैं चोर कि जिन के
रोज़े भी बहुत और नमाज़ें भी बहुत हैं

- Dilnawaz Siddiqi
1 Like

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari