jo apni palkon pe aansu sajaaye rakhte hain | जो अपनी पलकों पे आँसू सजाए रखते हैं - Dilnawaz Siddiqi

jo apni palkon pe aansu sajaaye rakhte hain
vo aasteenon mein khanjar chhupaaye rakhte hain

jinhen sikhaaya tha tahzeeb ka sabq hum ne
hamaare baare mein sangeen raay rakhte hain

rida-e-sabr mein lipate hue ye saint faqeer
samasyaon ka uttam upaaye rakhte hain

wafa ke khoon ki surkhi ke saath chehre par
hum un ki yaad ke zewar sajaaye rakhte hain

mareez-rangoon mein apne ye barg-ha-e-khizaan
hayaat-e-nau ka tabassum chhupaaye rakhte hain

ye husn-e-fikr hai arbaab-e-nazar ka ki sada
sukoot mein bhi ishaare kinaaye rakhte hain

ghuroor se tiri gardan tanee hui kyun hai
ki sar to kaandhon pe hum bhi uthaaye rakhte hain

जो अपनी पलकों पे आँसू सजाए रखते हैं
वो आस्तीनों में ख़ंजर छुपाए रखते हैं

जिन्हें सिखाया था तहज़ीब का सबक़ हम ने
हमारे बारे में संगीन राय रखते हैं

रिदा-ए-सब्र में लिपटे हुए ये संत फ़क़ीर
समस्याओं का उत्तम उपाए रखते हैं

वफ़ा के ख़ून की सुर्ख़ी के साथ चेहरे पर
हम उन की याद के ज़ेवर सजाए रखते हैं

मरीज़-रंगों में अपने ये बर्ग-हा-ए-ख़िज़ाँ
हयात-ए-नौ का तबस्सुम छुपाए रखते हैं

ये हुस्न-ए-फ़िक्र है अरबाब-ए-नज़र का कि सदा
सुकूत में भी इशारे किनाए रखते हैं

ग़ुरूर से तिरी गर्दन तनी हुई क्यों है
कि सर तो काँधों पे हम भी उठाए रखते हैं

- Dilnawaz Siddiqi
0 Likes

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari