tum apne aap ko badlo to doosra badle | तुम अपने आप को बदलो तो दूसरा बदले - Dilnawaz Siddiqi

tum apne aap ko badlo to doosra badle
tumhein ye shauq ki kirdaar aaina badle

dil-o-dimaagh ki raahen hain mukhtalif kab se
tumhaare qurb se shaayad ye fasla badle

koi to khauf muqaddar se be-amal ho jaaye
koi amal hi se qismat ka faisla badle

ana ke zahar ko thooko to muttahid ho jaayen
badi se haarte rahne ka silsila badle

tamaam lamhon ke mausam usi ke haath mein hain
khuda yoonhi rakhe kis kis ko kaun sa badle

fareb-e-fikr-o-nazar hai ki ye hai azmat-e-harf
ki matn yoonhi rahe sirf haashiya badle

तुम अपने आप को बदलो तो दूसरा बदले
तुम्हें ये शौक़ कि किरदार आईना बदले

दिल-ओ-दिमाग़ की राहें हैं मुख़्तलिफ़ कब से
तुम्हारे क़ुर्ब से शायद ये फ़ासला बदले

कोई तो ख़ौफ़ मुक़द्दर से बे-अमल हो जाए
कोई अमल ही से क़िस्मत का फ़ैसला बदले

अना के ज़हर को थूको तो मुत्तहिद हो जाएँ
बदी से हारते रहने का सिलसिला बदले

तमाम लम्हों के मौसम उसी के हाथ में हैं
ख़ुदा यूँही रखे किस किस को कौन सा बदले

फ़रेब-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र है कि ये है अज़्मत-ए-हर्फ़
कि मत्न यूँही रहे सिर्फ़ हाशिया बदले

- Dilnawaz Siddiqi
0 Likes

Mausam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Mausam Shayari Shayari