ik fati aasteen ka dast-e-dua jhatak diya | इक फटी आस्तीन का दस्त-ए-दुआ' झटक दिया - Dilnawaz Siddiqi

ik fati aasteen ka dast-e-dua jhatak diya
ye to khuda ka haath tha ye tu ne kya jhatak diya

tu bhi zameen pe aa ke kar mitti se rooh tak safar
main ne to sar jhuka liya baar-e-ana jhatak diya

aatish-e-intiqaam se apne vujood ko bacha
mera to zehan saaf hai dil mein jo tha jhatak diya

andhi gali ke mod par aayi thi raushni nazar
chun ki mera khayal hi khwaab sa tha jhatak diya

इक फटी आस्तीन का दस्त-ए-दुआ' झटक दिया
ये तो ख़ुदा का हाथ था ये तू ने क्या झटक दिया

तू भी ज़मीं पे आ के कर मिट्टी से रूह तक सफ़र
मैं ने तो सर झुका लिया बार-ए-अना झटक दिया

आतिश-ए-इंतिक़ाम से अपने वजूद को बचा
मेरा तो ज़ेहन साफ़ है दिल में जो था झटक दिया

अंधी गली के मोड़ पर आई थी रौशनी नज़र
चूँ कि मिरा ख़याल ही ख़्वाब सा था झटक दिया

- Dilnawaz Siddiqi
1 Like

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari