har adavat pe jahaan sulh ki saiqal ho jaaye | हर अदावत पे जहाँ सुल्ह की सैक़ल हो जाए - Dilnawaz Siddiqi

har adavat pe jahaan sulh ki saiqal ho jaaye
dost saccha bhi nikal aaye to paagal ho jaaye

chadhte dariya se dare hain to hai apnon ki talash
kaash kuch der ko ye khauf musalsal ho jaaye

maat kha kha ke yun hi rote rahe hain sadiyon
in ka dasta bhi kisi baar haraaval ho jaaye

kyun jhuke sar ye kisi gair khuda ke aage
kyun aqeedat mein koi aql se paidal ho jaaye

hum bhi aayenge tiri nazar-guzaari ko kabhi
haan zara khushk tazbzub ki ye daldal ho jaaye

हर अदावत पे जहाँ सुल्ह की सैक़ल हो जाए
दोस्त सच्चा भी निकल आए तो पागल हो जाए

चढ़ते दरिया से डरे हैं तो है अपनों की तलाश
काश कुछ देर को ये ख़ौफ़ मुसलसल हो जाए

मात खा खा के यूँ ही रोते रहे हैं सदियों
इन का दस्ता भी किसी बार हरावल हो जाए

क्यों झुके सर ये किसी ग़ैर ख़ुदा के आगे
क्यों अक़ीदत में कोई अक़्ल से पैदल हो जाए

हम भी आएँगे तिरी नज़र-गुज़ारी को कभी
हाँ ज़रा ख़ुश्क तज़ब्ज़ुब की ये दलदल हो जाए

- Dilnawaz Siddiqi
1 Like

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari