ye hadon hisaar ki saa'atein ye mutaalabe ye qabaahaten | ये हदों हिसार की साअ'तें ये मुतालबे ये क़बाहतें - Dilnawaz Siddiqi

ye hadon hisaar ki saa'atein ye mutaalabe ye qabaahaten
jo na hon palon mein batti hui usi ek kal ki talash hai

kahi aala ek masheen ka kahi darwin ka hai boozena
kabhi phir se ban sake aadmi usi ek kal ki talash hai

main musir nahin kisi sath par kisi taur par kisi tarah par
jo de ek lamhe ki neend hi usi ek kal ki talash hai

mera kal bhi tha mera aaj hai ye alag alag sa mizaaj hai
jo tiri raza se naseeb ho usi ek kal ki talash hai

ये हदों हिसार की साअ'तें ये मुतालबे ये क़बाहतें
जो न हों पलों में बटी हुई उसी एक कल की तलाश है

कहीं आला एक मशीन का कहीं डार्विन का है बूज़ना
कभी फिर से बन सके आदमी उसी एक कल की तलाश है

मैं मुसिर नहीं किसी सत्ह पर किसी तौर पर किसी तरह पर
जो दे एक लम्हे की नींद ही उसी एक कल की तलाश है

मिरा कल भी था मिरा आज है ये अलग अलग सा मिज़ाज है
जो तिरी रज़ा से नसीब हो उसी एक कल की तलाश है

- Dilnawaz Siddiqi
0 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilnawaz Siddiqi

As you were reading Shayari by Dilnawaz Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Dilnawaz Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari