sulagta dasht yakaayak bujha nahin karta | सुलगता दश्त यकायक बुझा नहीं करता - Dinesh Kumar Drouna

sulagta dasht yakaayak bujha nahin karta
ye waqt-e-hijr hai aise kata nahin karta

zara sa farq hai sheeshe mein aur is dil mein
ye tootaa to hai lekin sada nahin karta

dilon mein ishq ki kheti afeem jaisi hai
ki is ke ba'ad yahan kuch ugaa nahin karta

kuch ek log mohabbat se khauf khaate hain
sabhi ko mausam-e-baaraan haraa nahin karta

pata ye hijr se itna to chal gaya mujh ko
koi kisi se bichhad kar mara nahin karta

ye zakham laazmi hai haal ki gawaahi ko
yahi main soch ke in ki dava nahin karta

kuch ek roz se ik bekli si rahti hai
kahi vo yaad to mujh ko kiya nahin karta

सुलगता दश्त यकायक बुझा नहीं करता
ये वक़्त-ए-हिज्र है ऐसे कटा नहीं करता

ज़रा सा फ़र्क़ है शीशे में और इस दिल में
ये टूटता तो है लेकिन सदा नहीं करता

दिलों में इश्क़ की खेती अफ़ीम जैसी है
कि इस के बा'द यहाँ कुछ उगा नहीं करता

कुछ एक लोग मोहब्बत से ख़ौफ़ खाते हैं
सभी को मौसम-ए-बाराँ हरा नहीं करता

पता ये हिज्र से इतना तो चल गया मुझ को
कोई किसी से बिछड़ कर मरा नहीं करता

ये ज़ख़्म लाज़मी है हाल की गवाही को
यही मैं सोच के इन की दवा नहीं करता

कुछ एक रोज़ से इक बेकली सी रहती है
कहीं वो याद तो मुझ को किया नहीं करता

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari