aap aur aap ka asar dono | आप और आप का असर दोनों - Dinesh Kumar Drouna

aap aur aap ka asar dono
kar gaye hum ko dar-b-dar dono

dono tanhaaiyon ke maare the
is liye bhi hain hum-safar dono

ek bistar hai beech mein takiya
kaise soyeinge raat bhar dono

baat badhne ki ye wajah bhi thi
baat karte the mukhtasar dono

aap aaye bhi aur chale bhi gaye
jhooth lagti hain ye khabar dono

ishq se log be-khabar rahte
saath marte nahin agar dono

ek bacchi gareeb aur an-padh
is pari ke nahin hain par dono

do goonee kar rahe the khushiyon ko
ek dooje ko baant kar dono

kaise munh ko fulaaye baithe hain
ek-dooge ki baat par dono

band karte hi aankh aane lage
ek-dooge ko ab nazar dono

आप और आप का असर दोनों
कर गए हम को दर-ब-दर दोनों

दोनों तन्हाइयों के मारे थे
इस लिए भी हैं हम-सफ़र दोनों

एक बिस्तर है बीच में तकिया
कैसे सोएँगे रात भर दोनों

बात बढ़ने की ये वजह भी थी
बात करते थे मुख़्तसर दोनों

आप आए भी और चले भी गए
झूठ लगती हैं ये ख़बर दोनों

इश्क़ से लोग बे-ख़बर रहते
साथ मरते नहीं अगर दोनों

एक बच्ची ग़रीब और अन-पढ़
इस परी के नहीं हैं पर दोनों

दो गुनी कर रहे थे ख़ुशियों को
एक दूजे को बाँट कर दोनों

कैसे मुँह को फुलाए बैठे हैं
एक-दूजे की बात पर दोनों

बंद करते ही आँख आने लगे
एक-दूजे को अब नज़र दोनों

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Beti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Beti Shayari Shayari