maasoom dil ki hasratein lafzon mein dhaal kar | मासूम दिल की हसरतें लफ़्ज़ों में ढाल कर - Dinesh Kumar Drouna

maasoom dil ki hasratein lafzon mein dhaal kar
rakhe hain hum ne dhoop mein jugnoo nikaal kar

hai shiddat-e-talab ka mere almeya yahi
rakh de na meri pyaas samundar ubaal kar

chalti nahin mohabbaton mein jald-baaziyaan
hote nahin ye faisley sikke uchaal kar

va'don ke jo khilone thama kar gaya tha tu
main ne bhi rakh diye hain kahi par sanbhaal kar

phir yun hua ki sabz ho utha vo regzaar
nikle jab un ke haath mein hum haath daal kar

tujh se jirh karunga magar shart hai yahi
jis ka jawaab tu ho mujhe vo sawaal kar

ik naazneen ka dil hua hai gum-shuda kahi
aur hum khade hain saamne jeben nikaal kar

मासूम दिल की हसरतें लफ़्ज़ों में ढाल कर
रखे हैं हम ने धूप में जुगनू निकाल कर

है शिद्दत-ए-तलब का मिरे अलमिया यही
रख दे न मेरी प्यास समुंदर उबाल कर

चलती नहीं मोहब्बतों में जल्द-बाज़ियाँ
होते नहीं ये फ़ैसले सिक्के उछाल कर

वा'दों के जो खिलौने थमा कर गया था तू
मैं ने भी रख दिए हैं कहीं पर सँभाल कर

फिर यूँ हुआ कि सब्ज़ हो उठा वो रेगज़ार
निकले जब उन के हाथ में हम हाथ डाल कर

तुझ से जिरह करूँगा मगर शर्त है यही
जिस का जवाब तू हो मुझे वो सवाल कर

इक नाज़नीं का दिल हुआ है गुम-शुदा कहीं
और हम खड़े हैं सामने जेबें निकाल कर

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari