saans ka jhonka bhi ab toofaan hota jaayega | साँस का झोंका भी अब तूफ़ान होता जाएगा - Dinesh Kumar Drouna

saans ka jhonka bhi ab toofaan hota jaayega
har nafs thoda bahut nuksaan hota jaayega

chaap kaanon se kisi ki door jaati jaayegi
rafta rafta ye badan be-jaan hota jaayega

ajnabi logon ki dil par dhaak badhti jaayegi
apne hi ghar mein koi mehmaan hota jaayega

paasbaanon ke hawaale bastiyaan hongi agar
jaagne ka raat bhar elaan hota jaayega

hijr ka aalam uda le jaayega rangat kahi
aur samundar sookh kar maidaan hota jaayega

raat hone do yahan par barhanaai chhaayegi
vo havas mein dekhna haiwaan hota jaayega

साँस का झोंका भी अब तूफ़ान होता जाएगा
हर नफ़स थोड़ा बहुत नुक़सान होता जाएगा

चाप कानों से किसी की दूर जाती जाएगी
रफ़्ता रफ़्ता ये बदन बे-जान होता जाएगा

अजनबी लोगों की दिल पर धाक बढ़ती जाएगी
अपने ही घर में कोई मेहमान होता जाएगा

पासबानों के हवाले बस्तियाँ होंगी अगर
जागने का रात भर एलान होता जाएगा

हिज्र का आलम उड़ा ले जाएगा रंगत कहीं
और समुंदर सूख कर मैदान होता जाएगा

रात होने दो यहाँ पर बरहनाई छाएगी
वो हवस में देखना हैवान होता जाएगा

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari