chand lamhaat mein sadiyon ka maza le aaya | चंद लम्हात में सदियों का मज़ा ले आया - Dinesh Kumar Drouna

chand lamhaat mein sadiyon ka maza le aaya
ya kahoon baithe-bithaye hi bala le aaya

khud ko uljha ke zamaane ke masaail mein idhar
main tiri yaad se apne ko bacha le aaya

aag se aag to lohe se katega loha
lo naya zakham purane ki dava le aaya

ek taqseer ki main jis ki muafi ke liye
har dafa ek nayi aur saza le aaya

surkh aankhen liye vo apni udhar laut gaya
main idhar apna ruvaansa sa gala le aaya

tujh ko pa kar bhi nadaamat mein mare jaata hoon
ki kisi aur ke hisse ki wafa le aaya

चंद लम्हात में सदियों का मज़ा ले आया
या कहूँ बैठे-बिठाए ही बला ले आया

ख़ुद को उलझा के ज़माने के मसाइल में इधर
मैं तिरी याद से अपने को बचा ले आया

आग से आग तो लोहे से कटेगा लोहा
लो नया ज़ख़्म पुराने की दवा ले आया

एक तक़्सीर कि मैं जिस की मुआ'फ़ी के लिए
हर दफ़ा एक नई और सज़ा ले आया

सुर्ख़ आँखें लिए वो अपनी उधर लौट गया
मैं इधर अपना रुवाँसा सा गला ले आया

तुझ को पा कर भी नदामत में मरे जाता हूँ
कि किसी और के हिस्से की वफ़ा ले आया

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Azal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Azal Shayari Shayari