nigaahon ko nishaana chahiye tha | निगाहों को निशाना चाहिए था - Dinesh Kumar Drouna

nigaahon ko nishaana chahiye tha
koi paagal deewaana chahiye tha

ye maana the khafa hum phir bhi lekin
tumhein nazdeek aana chahiye tha

main apne jabr par hairaan hoon khud
mujhe to toot jaana chahiye tha

mujhe pa kar ravaan sa ho rahe ho
to kya tum ko zamaana chahiye tha

vo qissa yaad rakhne ka nahin hai
suna aur bhool jaana chahiye tha

jise gar jaanna ho dard kya hai
kisi se dil lagana chahiye tha

bhulaane ki yahi ik shart bhi thi
mujhe vo yaad aana chahiye tha

vo jo aagaah karta phir raha hai
usi ko aazmaana chahiye tha

zara si baat aur tark-e-ta'alluq
tumhein to bas bahaana chahiye tha

निगाहों को निशाना चाहिए था
कोई पागल दीवाना चाहिए था

ये माना थे ख़फ़ा हम फिर भी लेकिन
तुम्हें नज़दीक आना चाहिए था

मैं अपने जब्र पर हैरान हूँ ख़ुद
मुझे तो टूट जाना चाहिए था

मुझे पा कर रवाँ सा हो रहे हो
तो क्या तुम को ज़माना चाहिए था

वो क़िस्सा याद रखने का नहीं है
सुना और भूल जाना चाहिए था

जिसे गर जानना हो दर्द क्या है
किसी से दिल लगाना चाहिए था

भुलाने की यही इक शर्त भी थी
मुझे वो याद आना चाहिए था

वो जो आगाह करता फिर रहा है
उसी को आज़माना चाहिए था

ज़रा सी बात और तर्क-ए-तअ'ल्लुक़
तुम्हें तो बस बहाना चाहिए था

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari